Yeh Degree bhi lelo, yeh naukri bhi lelo,
Bhale chheen lo mujhse US ka visa,
Magar mujhko lauta do college ki canteen,
Woh teekha samosaa, woh thanda saaa paani..
Woh college ki sabse - purani nishaanee,
Woh chai vaalaa jisko - sab kehte the... jaani,
Woh jaani ke hathon - ki 'cutting' chai meethi,
Woh chupke-se journal - mein jo bheji thi chitthi,
Woh padhte hi chitthi - tha uska bhadakna,
Woh chehre ki laali, woh hothon ki gaali ...
Kadi dhoop mein - apney room se nikalnaa,
Woh project ki khatir - tha dar dar bhataknaa ,
Woh lecture mein doston - ki proxy lagaanaa,
Woh ma'am ko chidana, aeroplane udaanaa,
Woh submission ki raaton - ko jagna jagaanaa,
Woh viva ke kisse, woh pracs ki kahani....
Woh dena bimaari - ka har time bahana,
Woh doosron ke assignment - ko apnaa banana,
Woh seminar ke din - pairon ka chhat-patanaa,
Woh workshop mein din bhar - pasiinaa bahanaa,
Woh slogans banana - woh poster chipkana,
Phir exam ke dino - yaad aati thi naani....
College ki thi - woh lambi si raatein,
Woh doston ke kapre mein - fokat ki baatein;
Woh gathering ke din - pyari mulakatein;
Woh kudiyon ka yuhin - hamesha akadnaa;
Bhulaaye nahin bhool sakta hai koi ,
Woh college ki yaadein - jo ab hain kahani...
P.S. Read it somewhere on the web.. and felt a resonance of thoughts! :P
Tuesday, May 05, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
lol !!
Mr graduate .... kya yeh hai teri kahaani .. ??? Hahaha .. Nice1 :)
Post a Comment